YouTube Shorts Kya Hai? – YouTube Shorts Introduction

Ham sab jante hain ki TikTok ne aaj ki generation ko ek naya platform diya jisme vo apna chupa talent dikha sakte hain bas 15 seconds ke short videos banakar. Jab bhi koi bada social media platform, yahan YouTube, purana lagne lagta hai logon ko, tab vo ek naye aur mazedar feature ke sath vapas aata hai taaki uske users use chood kar na jaye. YouTube ne bhi esa hi kiya.

Usne jab TikTok ka badhta trend dekha tab usne socha ki agar use top par bane rehna hai duniya me to use TikTok ko takkar deni hogi views ke liye. Aur isiliye YouTube Shorts ka janam hua. Shuruat me YouTube Shorts video downloader ka beta version India me aya taaki TikTok ke ban se use fayda mile, aur lakhon TikTok ke users ko vo Youtube par laa sake.

Youtube Shorts Aakhir Kya Hai?

YouTube Shorts ek zariya hai logon ko nayi audience se connect karne ka bas ek smartphone aur Shorts camera(jo ki YouTube app me mil jayega) ki madad se. TikTok ki tarah hi YouTube Shorts bhi vertical foem ke videos me hote hain par unki maximum duration 60 seconds hai.

Ye shorts videos Youtube Shorts app par upload kiye jaa sakte hain. Dura tarika ye hai ki inhe normal video ki tarah bhi upload kar sakte hai, bas #shorts ka tag video ke naam ya description me lagana hoga.

Jab Youtube Shorts shuru me India me aye, tab ek khaas Shorts camera videos banane ke liye bhi aya jo ki Youtube app par mil jayega. Iss camera ki vajah se creators ko videos record karne me aasani hoti hai kyuki ye multi-segment hai.

Ye kaafi kuch TikTok se milta hai, jese iske tools jisse aap 15 seconds ke videos bana sakte hain, music clips add kar sakte hain, speed ko control kar sakte hain, aur bhi bahut kuch. Halaki zydatar YouTubers iss feature ke widespread rollout ke intezar me hai. Par tabtak ke liye, Youtube koshish karta rahega ki Shorts ko zyada se zyada users dekhe aur shre kare.

Youtube Shorts Kaise Banaye?

Ek Shorts video banana kaafi simple hai, aur use dekh paana aur bhi simple. App Youtube Mobile app par + icon dabakar(jo ki screen ke niche me diya hota hi) shorts bana sakte hai. Aapko chunna hoga “Create a Short”. Iska ek aur tarika bhi hai.

Aap ek 60 seconds ke andar ka vertical video bhi upload kar sakte hai aur phir uske description me #shorts tag kar dijiyega. Halaki agar aap ye Shorts feature mobile me use karte hai to aapko kam tools hi milenge content banane ke liye. Par isme aapko ek timer bhi milega jisse aap hands-free footage bana sakte hai aur chahe to apni recording ko speed up kar sakte hain.

Agar aap apne shorts video ko normal video jese upload karna chunte hai, to aapko vertical video record karne ki thodi aur flexibilty milegi taaki aap use kisi normal video ki tarah hi edit kar sake, music, overlays, transition jese features ke sath. Shorts videos jo DSLR, smartphone, iPad, ya kisi aur device se banaye ho unhe Youtube pehchan leta hai. Aapka phone aur desktop computer hi kaafi hai aapke video upload karne ke liye.

Dekha jaaye to har video ke naam ya description me #shorts add karna zaruri nahi hai. Haan Youtube ise encourage zarur karta hai par iske na hone par bhi aapki video Shorts ke under hi ayegi. Aapko pehle se kisi chiz ki zarurat nahi padegi vertical short videos banane ke liye. Youtube Shorts banane ke liye aapko pehle se koi subscribers ya views ki bhi zarurat nahi hai.

Leave a Comment